baithe hai kiski taaq mein
aahat sunne ko bekraar
koi toh humein aawaz de
kitna karenge intezaar
na yeh jannat hai na hai dozakh
na dwar pe hain na kisi rah mein
is paidi pe matha teke khade hai
behte hai raste pe ashru
kaun hai yeh jaane, ki aarzoo kya hai
is bechen dil ki justajoo kya hai
kisi bahane se duniya humne dekhi
ya kisi bahane ne duniya ne humein dekha
No comments:
Post a Comment